Writing after a long time - feeling very free today - Bandhan mehsoos nahi hota to kabhi kabhi anayaas hi kuch create ho jaata hai...Yeh Kavita ki bhi kuch aisi hi kahaani hai...Abhi Abhi mainey ashtavakra Geeta Suni aur abhi abhi....kuch shabad bas behte gaye...aur yeh bol kuch kehte gayeee...!!!!
ISHQ
Kabhi Sochta hoon, yeh saala Ishq Vishq kya hota hai,
Kyun har aashiq Pyar karta hai aur phir kuch hi din mein rota hai...
Filmon mein bhi dikhatein hain, ik hero ik villain aur ik happy ending suhaani,
But asli jeevan mein hota hai bas daal, roti aur thoda sa thanda paani.
Agar Ishq mein itna hi dum hota,
To Mirza ya Ranjha kabhi nahi rota,
Hanstey hanstey jaatey wo is sansaar se,
nahi Atak jaatey sirf ik Insaan Se...
Shayad Ishq to hota hai, Magar Kuch issey Umda hota hai,
Isme Insaan bas Kho Jaata hai,
Kho deta hai paaney ki chahat, Shukraana uska Mizaaz hota hai !!!
Koi usey Khuda to Koi usey hi Raam Kehta hai,
Aur Koi Simply usey Pyaar ka paigaam kehta hain..
Kyun Nikalti hai Kavita is dil se Achanak,
Shayad, Dastak wahi Ishq sareey aam deta hai.....!!!
No comments:
Post a Comment