Kshama, daya, tap, tyaag, manobal
Sabka liya sahara
Par nar vyagh Suyodhan tumse
Kaho kahan kab haara?
Kshamasheel ho rrpu-saksham
Tum huye vineet jitna hi
Dusht Kauravon ne tumko
Kaayar samjha utna hi
Atyachar sahan karne ka
Kufal yahi hota hai
Paurush ka aatank manuj
Komal hokar khota hai
Kshama shobhti us bhujang ko
Jiske paas garal hai
Uska kya jo dantheen
Vishrahit vineet saral hai
Teen divas tak panth mangte
Raghupati sindhu kinare
Baithey padhtey rahey chhand
Anunay ke pyaare pyaare
Uttar mein jab ek naad bhi
Utha nahi saagar se
Uthi adheer dhadhak paurush ki
Aag raam ke shar se
Sindhu deh dhar trahi-trahi
Karta aa gira sharan mein
Charan pooj daasta grrhan ki
Bandha moodh bandhan mein
Sach poochho to shar mein hi
Basti hai deepti vinay ki
Sandhivachan sampoojya usika
Jisme shakti vijay ki
Sahansheelta, kshama, daya ko
Tabhi poojta jag hai
Bal ka darp chamakta uskey
Peechhey jab jagmag hai
No comments:
Post a Comment